Jeevan ke ye haseen pal, yaad aayenge kal
Pal, jo hain bahut khaass,
Kabhi late hain labo pe hansi,
To kabhi kar dete hain is dil ko udass;
Wo mausam ka mizaz badalte hi GT lagana,
Wo gaadiya uthakar highway par nikal jana,
Wo hafte bhar karna Friday ka intezaar,
Wo labs bunk karke dekhna filmain baar-baar;
Wo jaakar canteen main purse ko channa,
Wo ladko ka ladkiyo ko chupkar niharna,
Wo attendance ke waqt proxy lagana,
Aur pakde jane par masoom se chehre banana;
Wo class mai baith kar gaane gaana,
Aur desk bajakar nayi dhune banana,
Wo 50 minute ke lecture mai dekhna ghadi baar-baar,
Aur karna lecture ke khatm hone ka besabri se intezaar;
Wo ek prof. ke na aane par, dinbhar ki GT lagana,
Aur syllabus na complete hone par, exams mai ghabrana,
Wo raat bhar jaag kar exams ke liye padhna,
Aur number na aane par Profs se ulazhna;
Wo choti-choti baaton par dosto se jhagadna,
Fir dekhkar unhe, andekha karne ki koshish karna,
Wo Blitz ki raaton ka lutf uthana,
Wo paise bachakar treats par jana;
Wo karna saal bhar Carnival ka intezaar,
Jo karata tha canteen ke coupons ki jugaad,
Wo Short-List mai naam aane par Profs ko patana,
Aur bhavishya mai regular hone ki jhoothi kasme khana;
Ye sochkar ki ho na jaye inka bhavishya kharaab,
Wo kar dena Profs ka aise logo ko maanf;
Yaad kar in haseen lamho ko, dil dukhi ho jata hai,
Fir na aayenge ye pal, ye sochkar aksar ghabrata hai,
Waqt to ret ki tarah hai, na jaane kab fisal jaata hai,
De jaata hai to sirf Yaadein,
Aur rishto ko mazboot banata hai;
To aao is FAREWELL ki shaam ko haseen banaye,
Bhulakar sabhi gile-shikwe,
Dosti ki nayi kasmein khaye…
Dedicated to Friends...